Mai jo ab sath nahi tere
Chalta hai ye sawaal dimaag mere
Mera dimaag Tere sawaal
Mera dimaag Tere sawaal
Mera dil Tere jawaab
Mera dil Tere jawaab
Wo kehti thi Apne aap pe
Tu kaam kar Mai rahu ya nahi
Tu apna naam kar
Aye mere dil
Uske jaane ke baad
Tu apna sawaal band kar
Us hijr pe mere ruh
Band tu apna malal kar
Band tu apna malal kar
Mai karta nahi samjhauta
Kisi ke jaane par
Par kaise bhula du tujhe
Ik tu hi toh kehti thi
Apne kalam ko aise kalamkaar kar
Hata insaano wali baatein
Aur khud ko tu bhagwaan kar
Kabhi toh shaam me ek
Sham jala tu aur usey
Parwane ke naam kar
Ek waqt tha jeb me kuch nahi
Ab jo sab hai tu kyu hai waha
Aur mai yaha teri sunu
Tu jo kehti hai
Apne man ke mahal ko veeran kar
Likh du apni kahani jo
Rahegi tu usme hamesha pariyan hi
Mai Amar ho jaunga ban ke
Mukhalif sadaiw sadiya hi
Hone chala tha ghalib
Teri mohabbat me
Teri judaai ne
Zindagi aise hayaat kardi
Mujhe achi lagi sabse uski ye baat
Tum jaante zindagi kamal kyu hai
Ek hi baat ke sau misaal jo hai
Tere jaane ke baad
Bachi hai bas ye yaad
Tu kaam kar Mai rahu ya nahi
Tu apna naam kar